Acharya - Guru Bhakti (Gyanodaya Chhanda)
Siddh bane Shiv shuddh bane jo, jin ki stuti mein nirat rahe, Dava samati kope anal ko, shant kiye ati virat rahe. Mano gupti ke vachan gupti ke, kaya gupti ke dharak hain, Jab jab bole satya bolte, bhaav shuddh shiv sadhak hain.
Din duguni o sat chauguni muni pad mahima badha rahe. Jin shasan ke deept deep ho aur ujala dila rahe. Baddh-karm ke goodh mool par ghaat lagate kushal rahe. Riddhi siddhi parasiddhi chhodkar shivsukh pane machal rahe
Moolgunon ki maniyon se hai jinki shobhit deh rahi. Shad dravyon ka nishchay jinko jinmein kuch sandeh nahin. Samayochit aacharan kare hain pramaad ke jo shoshak hain. Samadarshan se shuddh bane hain nij gun toshak, poshak hain.
Par-dukh-kaatar saday hriday jo moh-vinaashak tap dhaare. Panch-paap se poorn pare hain pale punya mein jag pyaare. Jeev jantu se rahit thaan mein vaas karein nij katha karein. Jinke man mein aasha na hai door kupath se tatha chare.
Bade bade upvaasaadik se dandit na bahudandon se. Sudol sundar tan man se hain mukh mandal-kar-dandon se. Jeet rahe do bees pareeshah kiriya-karne yog kare. Saavdhan sandhaan dhyaan se pramaad harne yogya hare.
Niyamon mein hain achal Merugiri kandar mein asahaaya rahe. Vijitamana hai jit-indriya hai jitnidrak jitkaaya rahe. Dussah dukhda durgati-kaaran leshyaon se door rahe. Yathajaat hai jinke tan he jall-mall se poor rahe.
Uttam uttam bhaavon se jo bhaavit karte aatam ko. Raag lobh maatsarya shaathya mad ko tajte hain agh-tam ko. Nahin kisi se tulna jinki jinka jeevan atul raha. Siddhaasan man jinkeh batata aagam manthan vipul raha.
Aartadhyaan se raudradhyaan se poorna-yatna se vimukh rahe. Dharmadhyaan mein shukladhyaan mein yathayogya jo pramukh rahe. Kugati maarg se door huye hain sugati ore gatimaan huye. Saat riddhi ras gaarav chhode punyavaan ganamaanye huye.
Greeshma kaal mein giri par tapte varsha mein tarutat rahte. Sheetkaal aakaash tale rah vyateet karte agh dahte. Bahujan hitkar charit dhaarte punya punj he abhay rahe. Prabhaavna ke hetubhoot un mahaabhaav ke nilay rahe.
Is vidh aganit gungan se jo sahit rahe hitsaadhak hai. He Jinvar! tav bhaktibhaav mein leen rahe gan dhaarak hai. Apne donon kar kamalon ko apne mastak par dharke. Unke pad kamalon mein namta baar-baar jhuk jhuk karke.
Kashaayavash katu-karm kiye the janma maran se yukt huye. Veetaraagamay aatma-dhyaan se karm nasht kar mukt huye. Pranaam unko bhi karta hoon akhand aksham-dhaam mile. Maatra praayojan yahi raha hai suchir kaal vishraam mile.
Munigan-naayak bhakti ka karke kaayotsarg. Aalochan uska karein se prabhu tav sansarg.
Panchaacharon ratnatraya se shobhit ho Aacharya maha, Shivpath chalte aur chalate auron ko bhi Aarya maha. Upadhyaay upadesh sada de charit bodh ka Shivpath ka, Ratnatraya paalan mein rat ho sadhu sahara Jinmat ka.
Bhavbhakti se chaav shakti se nirmal kar kar nij man ko. Vandoon poojein archan kartun naman karein mein guru gan ko. Kasht door ho karm choor ho bodhilaabh ho raaddhati ho. Veer-maran ho jinpad mujhko mile saamne Sanmati ohe.